na arman le ke aaya hun na hasrat le ke aaya hun
na arman le ke aaya hun na hasrat le ke aaya hun
Naseem Shahjahanpuri
MORE BYNaseem Shahjahanpuri
na armāñ le ke aayā huuñ na hasrat le ke aayā huuñ
dil-e-betāb meñ terī mohabbat le ke aayā huuñ
nigāhoñ meñ tire jalvoñ kī kasrat le ke aayā huuñ
ye aalam hai ki ik duniyā-e-hairat le ke aayā huuñ
laboñ par ḳhāmushī āñkhoñ meñ aañsū dil meñ betābī
maiñ un kī bazm-e-ishrat se qayāmat le ke aayā huuñ
sar-e-mahshar agar pursish huī mujh se to kah dūñgā
sarāpā jurm huuñ ashk-e-nadāmat le ke aayā huuñ
miTā kar hasti-e-nākām ko rāh-e-mohabbat meñ
zamāne ke liye ik dars-e-ibrat le ke aayā huuñ
talāsh-e-sāhil-e-maqsad jahāñ be-sūd hotī hai
maiñ un maujoñ meñ ik paiġhām-e-rāhat le ke aayā huuñ
na arman le ke aaya hun na hasrat le ke aaya hun
dil-e-betab mein teri mohabbat le ke aaya hun
nigahon mein tere jalwon ki kasrat le ke aaya hun
ye aalam hai ki ek duniya-e-hairat le ke aaya hun
labon par KHamushi aankhon mein aansu dil mein betabi
main un ki bazm-e-ishrat se qayamat le ke aaya hun
sar-e-mahshar agar pursish hui mujh se to kah dunga
sarapa jurm hun ashk-e-nadamat le ke aaya hun
miTa kar hasti-e-nakaam ko rah-e-mohabbat mein
zamane ke liye ek dars-e-ibrat le ke aaya hun
talash-e-sahil-e-maqsad jahan be-sud hoti hai
main un maujon mein ek paigham-e-rahat le ke aaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.