mukhDa wo but jidhar karega
mukhḌā vo but jidhar karegā
banda sajda udhar karegā
karnā ho jise ki ḳhāna vīrāñ
dil meñ tire vo ghar karegā
vo lutf uThā.egā safar kā
āp-apne meñ jo safar karegā
vaa.iz ye suḳhan tirā kabhī aah
ham meñ bhī kuchh asar karegā
ai shaiḳh tujhe butoñ se inkār
vallāh bahut zarar karegā
ho jis ko tamām shab sar-e-shām
kyā vasl meñ vo sahar karegā
'ġhamgīñ' jo baiThe us ke dar par
vo us ko na dar-ba-dar karegā
mukhDa wo but jidhar karega
banda sajda udhar karega
karna ho jise ki KHana viran
dil mein tere wo ghar karega
wo lutf uThaega safar ka
aap-apne mein jo safar karega
waiz ye suKHan tera kabhi aah
hum mein bhi kuchh asar karega
ai shaiKH tujhe buton se inkar
wallah bahut zarar karega
ho jis ko tamam shab sar-e-sham
kya wasl mein wo sahar karega
'ghamgin' jo baiThe us ke dar par
wo us ko na dar-ba-dar karega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.