mujhe udas kar gae ho KHush raho
mujhe udaas kar ga.e ho ḳhush raho
mire mizāj par ga.e ho ḳhush raho
mire liye na ruk sake to kyā huā
jahāñ kahīñ Thahar ga.e ho ḳhush raho
ḳhushī huī hai aaj tum ko dekh kar
bahut nikhar sañvar ga.e ho ḳhush raho
udaas ho kisī kī bevafā.ī par
vafā kahīñ to kar ga.e ho ḳhush raho
galī meñ aur log bhī the āshnā
hameñ salām kar ga.e ho ḳhush raho
tumheñ to merī dostī pe naaz thā
isī se ab mukar ga.e ho ḳhush raho
kisī kī zindagī bano ki bandagī
mire liye to mar ga.e ho ḳhush raho
mujhe udas kar gae ho KHush raho
mere mizaj par gae ho KHush raho
mere liye na ruk sake to kya hua
jahan kahin Thahar gae ho KHush raho
KHushi hui hai aaj tum ko dekh kar
bahut nikhar sanwar gae ho KHush raho
udas ho kisi ki bewafai par
wafa kahin to kar gae ho KHush raho
gali mein aur log bhi the aashna
hamein salam kar gae ho KHush raho
tumhein to meri dosti pe naz tha
isi se ab mukar gae ho KHush raho
kisi ki zindagi bano ki bandagi
mere liye to mar gae ho KHush raho
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 04.10.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.