mujhse kahte ho kya kahenge aap
mujh se kahte ho kyā kaheñge aap
jo kahūñgā to kyā suneñge aap
kyā bayān-e-shab-e-firāq kareñ
na sunā hai na ab suneñge aap
nahīñ khultā sabab tabassum kā
aaj kyā koī bosa deñge aap
nāsehā aap ḳhud hī nādāñ haiñ
kyā nasīhat mujhe kareñge aap
dam-e-āḳhir ye thā mire lab par
kis pe jaur-o-sitam kareñge aap
zulm kī kuchh bhī intihā hogī
yā hamesha sitam kareñge aap
muntazir haiñ tumhāre muddat se
dekhiye ham se kab mileñge aap
dard nā-gufta-bah ho jab saaqī
vo suneñ bhī to kyā kaheñge aap
mujh se kahte ho kya kahenge aap
jo kahunga to kya sunenge aap
kya bayan-e-shab-e-firaq karen
na suna hai na ab sunenge aap
nahin khulta sabab tabassum ka
aaj kya koi bosa denge aap
naseha aap KHud hi nadan hain
kya nasihat mujhe karenge aap
dam-e-aKHir ye tha mere lab par
kis pe jaur-o-sitam karenge aap
zulm ki kuchh bhi intiha hogi
ya hamesha sitam karenge aap
muntazir hain tumhaare muddat se
dekhiye hum se kab milenge aap
dard na-gufta-bah ho jab saqi
wo sunen bhi to kya kahenge aap
- Book : Kulliyat-e-Saaqi (Pg. e-61 p-58)
- Author : Pandit Jawahar Nath Saqi
- Publication : Pandit Jawahar Nath Saqi (1926)
- Edition : 1926
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.