mujhko bhi haq hai zindagani ka
mujh ko bhī haq hai zindagānī kā
maiñ bhī kirdār huuñ kahānī kā
jo mujhe aaj phir nazar aayā
ḳhvāb hai merī naujavānī kā
ham ko darpesh hai zamāne se
mas.ala baḳht kī girānī kā
kyuuñ nikaltā nazar nahīñ aatā
kuchh natīje bhī ḳhush-gumānī kā
kal jo sailāb aa gayā tū 'azīm'
ham ne jaanā mizāj paanī kā
mujh ko bhi haq hai zindagani ka
main bhi kirdar hun kahani ka
jo mujhe aaj phir nazar aaya
KHwab hai meri naujawani ka
hum ko darpesh hai zamane se
masala baKHt ki girani ka
kyun nikalta nazar nahin aata
kuchh natije bhi KHush-gumani ka
kal jo sailab aa gaya tu 'azim'
hum ne jaana mizaj pani ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.