mohmal hai na jaanen to, samjhen to wazahat hai
mohmal hai na jāneñ to, samjheñ to vazāhat hai
hai ziist faqat dhokā aur maut haqīqat hai
ham par ye 'ināyat bhii, kyā terī mohabbat hai
aanā bhī qayāmat hai jaanā bhī qayāmat hai
khultā hī nahīñ us kī in ḳhaas adāoñ meñ
tamhīd-e-mohabbat hai, zid hai ki sharārat hai
tauhīn-e-vafā hai ye, hangāma hai kyuuñ itnā
is dasht-e-vafā meñ kyā pahlī ye shahādat hai
badlā hai zamāna bas, hālāt nahīñ badle
haq-goī meñ logoñ ko ab bhī to qabāhat hai
ik zid ke sabab donoñ mashkūk haiñ ab tak bhī
inkār hai hoñToñ par āñkhoñ meñ mohabbat hai
ye ma.arka-ārā.ī kyā ek taraf se thī
kuchh apne kiye par bhī kyā tum ko nadāmat hai
kuchh tū hī batā āḳhir kyūñ-kar tire bandoñ par
har shab hai na.ī aafat har roz musībat hai
mānā, ho tamāshā.ī tum zulm-e-musalsal ke
lekin ye ḳhamoshī bhī zālim kī himāyat hai
tū apnī ḳhatāoñ par nādim bhī zarā ho jā
ai dost agar tujh meñ thoḌī bhī sharāfat hai
kuchh dahr-parastoñ ne saffāk-dilī bartī
kuchh had se ziyāda hī ham meñ bhī sharāfat hai
kyā shauq-e-junūñ thā jo aa.e the yahāñ 'ḳhālid'
is dasht-e-vafā meñ to har lamha aziyyat hai
mohmal hai na jaanen to, samjhen to wazahat hai
hai zist faqat dhoka aur maut haqiqat hai
hum par ye 'inayat bhi, kya teri mohabbat hai
aana bhi qayamat hai jaana bhi qayamat hai
khulta hi nahin us ki in KHas adaon mein
tamhid-e-mohabbat hai, zid hai ki shararat hai
tauhin-e-wafa hai ye, hangama hai kyun itna
is dasht-e-wafa mein kya pahli ye shahadat hai
badla hai zamana bas, haalat nahin badle
haq-goi mein logon ko ab bhi to qabahat hai
ek zid ke sabab donon mashkuk hain ab tak bhi
inkar hai honTon par aankhon mein mohabbat hai
ye marka-arai kya ek taraf se thi
kuchh apne kiye par bhi kya tum ko nadamat hai
kuchh tu hi bata aaKHir kyun-kar tere bandon par
har shab hai nai aafat har roz musibat hai
mana, ho tamashai tum zulm-e-musalsal ke
lekin ye KHamoshi bhi zalim ki himayat hai
tu apni KHataon par nadim bhi zara ho ja
ai dost agar tujh mein thoDi bhi sharafat hai
kuchh dahr-paraston ne saffak-dili barti
kuchh had se ziyaada hi hum mein bhi sharafat hai
kya shauq-e-junun tha jo aae the yahan 'KHalid'
is dasht-e-wafa mein to har lamha aziyyat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.