miyan wo jaan katrane lagi hai
miyāñ vo jaan katrāne lagī hai
tamannā mujh ko samjhāne lagī hai
sharāfat is qadar rusvā huī hai
amal par apne sharmāne lagī hai
javānī kī miyāñ dahlīz par hai
ġhazal ab merī itrāne lagī hai
ḳhudārā chhoḌ diije shoḳh hasrat
jo bū kāfūr kī aane lagī hai
sidhārā hai use do-chār das ne
tumhārī ye ġhazal paane lagī hai
tirā dīdār ho hasrat bahut hai
chalo ki niiñd bhī aane lagī hai
ḳharīdī jā rahī hai sabziyoñ sī
ġhazal bāzār meñ aane lagī hai
miyan wo jaan katrane lagi hai
tamanna mujh ko samjhane lagi hai
sharafat is qadar ruswa hui hai
amal par apne sharmane lagi hai
jawani ki miyan dahliz par hai
ghazal ab meri itrane lagi hai
KHudara chhoD dije shoKH hasrat
jo bu kafur ki aane lagi hai
sidhaara hai use do-chaar das ne
tumhaari ye ghazal pane lagi hai
tera didar ho hasrat bahut hai
chalo ki nind bhi aane lagi hai
KHaridi ja rahi hai sabziyon si
ghazal bazar mein aane lagi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.