miTTi jab tak nam rahti hai
miTTī jab tak nam rahtī hai
ḳhushbū tāza-dam rahtī hai
apnī rau meñ mast o ġhazal-ḳhvāñ
mauj-e-havā-e-ġham rahtī hai
un jhiil sī gahrī āñkhoñ meñ
ik lahar sī har dam rahtī hai
har saaz judā kyuuñ hotā hai
kyuuñ sañgat bāham rahtī hai
kyuuñ āñgan TeḌhā lagtā hai
kyuuñ pāyal barham rahtī hai
ab aise sarkash qāmat par
kyuuñ teġh-e-mizha ḳham rahtī hai
kyuuñ aap pareshāñ rahte haiñ
kyuuñ aañkh 'rasā' nam rahtī hai
miTTi jab tak nam rahti hai
KHushbu taza-dam rahti hai
apni rau mein mast o ghazal-KHwan
mauj-e-hawa-e-gham rahti hai
un jhil si gahri aankhon mein
ek lahar si har dam rahti hai
har saz juda kyun hota hai
kyun sangat baham rahti hai
kyun aangan TeDha lagta hai
kyun payal barham rahti hai
ab aise sarkash qamat par
kyun tegh-e-mizha KHam rahti hai
kyun aap pareshan rahte hain
kyun aankh 'rasa' nam rahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.