misr firaun ki tahwil mein aaya hua hai
misr fir.aun kī tahvīl meñ aayā huā hai
ḳhuun paanī kī jagah niil meñ aayā huā hai
vaqt be-vaqt jhalaktā hai mirī sūrat se
kaun chehra mirī tashkīl meñ aayā huā hai
pesh-bīnī hai ye ilhām ke ā.īne kī
aks qur.ān kā injīl meñ aayā huā hai
koī lamha mujhe tabdīl kiye jaatā hai
kyā taġhayyur mirī takmīl meñ aayā huā hai
sarguzisht-e-dil-e-tafrīh-talab meñ jānāñ
zikr terā kisī tafsīl meñ aayā huā hai
merī āñkhoñ meñ uge ḳhauf-zada zard kañval
shark kā aks mirī jhiil meñ aayā huā hai
us ke mahsūl pe dushman kī nazar hai 'āsim'
jo ilāqa mirī tahsīl meñ aayā huā hai
misr firaun ki tahwil mein aaya hua hai
KHun pani ki jagah nil mein aaya hua hai
waqt be-waqt jhalakta hai meri surat se
kaun chehra meri tashkil mein aaya hua hai
pesh-bini hai ye ilham ke aaine ki
aks quran ka injil mein aaya hua hai
koi lamha mujhe tabdil kiye jata hai
kya taghayyur meri takmil mein aaya hua hai
sarguzisht-e-dil-e-tafrih-talab mein jaanan
zikr tera kisi tafsil mein aaya hua hai
meri aankhon mein uge KHauf-zada zard kanwal
shark ka aks meri jhil mein aaya hua hai
us ke mahsul pe dushman ki nazar hai 'asim'
jo ilaqa meri tahsil mein aaya hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.