misal-e-shoala-o-shabnam raha hai aankhon mein
misāl-e-sho.ala-o-shabnam rahā hai āñkhoñ meñ
vo ek shaḳhs jo kam kam rahā hai āñkhoñ meñ
kabhī ziyāda kabhī kam rahā hai āñkhoñ meñ
lahū kā silsila paiham rahā hai āñkhoñ meñ
na jaane kaun se aalam meñ us ko dekhā thā
tamām umr vo aalam rahā hai āñkhoñ meñ
tirī judā.ī meñ taare bujhe haiñ palkoñ par
nikalte chāñd kā mātam rahā hai āñkhoñ meñ
ajab banāv hai kuchh us kī chashm-e-kam-go kā
ki sail-e-āh koī tham rahā hai āñkhoñ meñ
vo chhup rahā hai ḳhud apnī panāh-e-mizhgāñ meñ
badan tamām mujassam rahā hai āñkhoñ meñ
azal se tā-ba-abad koshish-e-javāb hai 'shāz'
vo ik savāl jo mub.ham rahā hai āñkhoñ meñ
misal-e-shoala-o-shabnam raha hai aankhon mein
wo ek shaKHs jo kam kam raha hai aankhon mein
kabhi ziyaada kabhi kam raha hai aankhon mein
lahu ka silsila paiham raha hai aankhon mein
na jaane kaun se aalam mein us ko dekha tha
tamam umr wo aalam raha hai aankhon mein
teri judai mein tare bujhe hain palkon par
nikalte chand ka matam raha hai aankhon mein
ajab banaw hai kuchh us ki chashm-e-kam-go ka
ki sail-e-ah koi tham raha hai aankhon mein
wo chhup raha hai KHud apni panah-e-mizhgan mein
badan tamam mujassam raha hai aankhon mein
azal se ta-ba-abad koshish-e-jawab hai 'shaz'
wo ek sawal jo mubham raha hai aankhon mein
- Book : Kulliyat-e- Shaz Tamkanat (Pg. 370)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.