meri tarah ka koi shaKHs mar gaya mujh mein
mirī tarah kā koī shaḳhs mar gayā mujh meñ
tire vujūd kā ehsās bhar gayā mujh meñ
'ajīb gard-e-rah-e-shauq jam ga.ī lab par
'ajīb zauq-e-safar sā Thahar gayā mujh meñ
kisī parind kī chīḳhoñ ne sang-bārī kī
sukūt-e-shām kā shīsha bikhar gayā mujh meñ
havā-e-dard chalī dil kī khiḌkiyāñ khaTkīñ
makīn-e-goshā-e-ummīd Dar gayā mujh meñ
har ek samt tirī yaad kā dhuñdalkā hai
tire ḳhayāl kā sūraj utar gayā mujh meñ
talāsh-e-saut-o-sadā meñ kidhar gayā maiñ 'arsh'
vo naghma-sāz-e-khamoshī kidhar gayā mujh meñ
meri tarah ka koi shaKHs mar gaya mujh mein
tere wujud ka ehsas bhar gaya mujh mein
'ajib gard-e-rah-e-shauq jam gai lab par
'ajib zauq-e-safar sa Thahar gaya mujh mein
kisi parind ki chiKHon ne sang-bari ki
sukut-e-sham ka shisha bikhar gaya mujh mein
hawa-e-dard chali dil ki khiDkiyan khaTkin
makin-e-gosha-e-ummid Dar gaya mujh mein
har ek samt teri yaad ka dhundalka hai
tere KHayal ka suraj utar gaya mujh mein
talash-e-saut-o-sada mein kidhar gaya main 'arsh'
wo naghma-saz-e-khamoshi kidhar gaya mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.