meri raat mera charagh meri kitab de
mirī raat merā charāġh merī kitāb de
mirā sahrā bāñdh le paañv se mujhe aab de
mire nukta-dāñ tirā fahm apnī misāl hai
maiñ huuñ ek saada savāl koī javāb de
mirī chashm-e-nam kisī ratjage meñ ulajh ga.ī
mirī niiñd oḌh le raat bhar mujhe ḳhvāb de
mire goshvāre meñ kaun bhartā gayā lahū
ai mirī talab mujhe har ghaḌī kā hisāb de
mire bahr o bar ko sameT le mire kūza-gar
mujhe an-kahī mujhe āgahī kā azaab de
meri raat mera charagh meri kitab de
mera sahra bandh le panw se mujhe aab de
mere nukta-dan tera fahm apni misal hai
main hun ek sada sawal koi jawab de
meri chashm-e-nam kisi ratjage mein ulajh gai
meri nind oDh le raat bhar mujhe KHwab de
mere goshware mein kaun bharta gaya lahu
ai meri talab mujhe har ghaDi ka hisab de
mere bahr o bar ko sameT le mere kuza-gar
mujhe an-kahi mujhe aagahi ka azab de
- Book : Tasteer (Pg. 297)
- Edition : Issue No. 9,10 July/August. 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.