mere charagho mera ganj-e-be-karan le lo
mire charāġho mirā ganj-e-be-karāñ le lo
maiñ jā rahā huuñ mirī raushni-e-jāñ le lo
qarīb hai mire ḳhākī libās kī tahlīl
mire dimāġh mire dil mirī zabāñ le lo
hai merī āñkhoñ meñ aks-e-navishta-e-dīvār
samajh sako to mirā nutq-e-be-e-zabāñ le lo
mirī jabīñ pe munaqqash haiñ rāstoñ ke charāġh
bhaTak na jaao ye dastūr-e-chīstāñ le lo
rahīn-e-dasht huuñ sahrā kā rāz-dāñ huuñ maiñ
rumūz-e-dasht bayābāñ kī boliyāñ le lo
huuñ vārdāt kā ainī gavāh maiñ mujh se
ye merī maut se pahle mirā bayāñ le lo
mere charagho mera ganj-e-be-karan le lo
main ja raha hun meri raushni-e-jaan le lo
qarib hai mere KHaki libas ki tahlil
mere dimagh mere dil meri zaban le lo
hai meri aankhon mein aks-e-nawishta-e-diwar
samajh sako to mera nutq-e-be-e-zaban le lo
meri jabin pe munaqqash hain raston ke charagh
bhaTak na jao ye dastur-e-chistan le lo
rahin-e-dasht hun sahra ka raaz-dan hun main
rumuz-e-dasht bayaban ki boliyan le lo
hun wardat ka aini gawah main mujh se
ye meri maut se pahle mera bayan le lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.