mere badan mein chhupi aag ko hawa dega
mire badan meñ chhupī aag ko havā degā
vo jism phuul hai lekin mujhe jalā degā
tumhāre mehrbāñ hāthoñ ko mere shāne se
mujhe gumāñ bhī na thā vaqt yuuñ haTā degā
hai aur kaun mire ghar meñ ye savāl na kar
mirā javāb tirā rañg-e-ruḳh uḌā degā
chale bhī aao ki ye Dūbtā huā sūraj
charāġh jalne se pahle mujhe bujhā degā
khaḌe hue haiñ yahāñ to buland-himmat log
thake huoñ ko bhalā kaun rāsta degā
daroñ ko band karo varna āñdhiyoñ kā ye zor
tumhāre kachche gharoñ kī chhateñ uḌā degā
jahāñ sab apne hī dāman ko dekhte hoñ 'bashīr'
us anjuman meñ bhalā kaun kis ko kyā degā
mere badan mein chhupi aag ko hawa dega
wo jism phul hai lekin mujhe jala dega
tumhaare mehrban hathon ko mere shane se
mujhe guman bhi na tha waqt yun haTa dega
hai aur kaun mere ghar mein ye sawal na kar
mera jawab tera rang-e-ruKH uDa dega
chale bhi aao ki ye Dubta hua suraj
charagh jalne se pahle mujhe bujha dega
khaDe hue hain yahan to buland-himmat log
thake huon ko bhala kaun rasta dega
daron ko band karo warna aandhiyon ka ye zor
tumhaare kachche gharon ki chhaten uDa dega
jahan sab apne hi daman ko dekhte hon 'bashir'
us anjuman mein bhala kaun kis ko kya dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.