mera dil mubtala hai jhanwali ka
mirā dil mubtalā hai jhāñvalī kā
tarī añkhiyāñ salonī sāñvlī kā
gayā tan suukh añkhiyāñ tar haiñ ġham siiñ
huā huuñ shaah ḳhushkī o tarī kā
jabhī tū paan khā kar muskurāyā
tabhī dil khil gayā gul kī kalī kā
kahtā huuñ vasf dandāñ-o-misī ke
mazā letā hoñ ab tal-chāvlī kā
nahīñ hai reḳhte ke bahr kā paar
samajh mat sher us kuuñ pārsī kā
jo rū paao to dil merā dikhāo
sunā hai shoḳh ḳhvāhāñ ārasī kā
mujhe kahte haiñ 'yakrū' sab mohibbāñ
ki banda jaañ siiñ huuñ hazrat-'alī' kā
mera dil mubtala hai jhanwali ka
tari ankhiyan saloni sanwli ka
gaya tan sukh ankhiyan tar hain gham sin
hua hun shah KHushki o tari ka
jabhi tu pan kha kar muskuraya
tabhi dil khil gaya gul ki kali ka
kahta hun wasf dandan-o-misi ke
maza leta hon ab tal-chawli ka
nahin hai reKHte ke bahr ka par
samajh mat sher us kun parsi ka
jo ru pao to dil mera dikhao
suna hai shoKH KHwahan aarasi ka
mujhe kahte hain 'yakru' sab mohibban
ki banda jaan sin hun hazrat-'ali' ka
- Book : diwan-e-yakro (Pg. 3)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.