milta hai har charagh ko saya zamin par
miltā hai har charāġh ko saayā zamīn par
rahtā nahīñ hai koī akelā zamīn par
har ek naqsh us kā havā le ke uḌ ga.ī
khīñchā thā ham ne shauq kā naqsha zamīn par
badle hue se lagte haiñ ab mausamoñ ke rañg
paḌtā hai āsmān kā saayā zamīn par
gosha zarā sā koī amaañ kā kahīñ mile
jī tañg ho gayā hai kushāda zamīn par
har ek mauj ruk sī ga.ī saañs kī tarah
bahtā nahīñ hai ab kahīñ dariyā zamīn par
vo jin ko mere ghar kā nishāñ bhī nahīñ milā
hairāñ haiñ mujh ko dekh ke zinda zamīn par
milta hai har charagh ko saya zamin par
rahta nahin hai koi akela zamin par
har ek naqsh us ka hawa le ke uD gai
khincha tha hum ne shauq ka naqsha zamin par
badle hue se lagte hain ab mausamon ke rang
paDta hai aasman ka saya zamin par
gosha zara sa koi aman ka kahin mile
ji tang ho gaya hai kushada zamin par
har ek mauj ruk si gai sans ki tarah
bahta nahin hai ab kahin dariya zamin par
wo jin ko mere ghar ka nishan bhi nahin mila
hairan hain mujh ko dekh ke zinda zamin par
- Book : Waraq-e-saadah (Gazals) (Pg. 64)
- Author : Hamdam Kashmiri
- Publication : Hamdam Kashmiri, Khan Mahel, Shrinagar (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.