mere jaise ban jaoge jab ishq tumhein ho jaega
mere jaise ban jāoge jab ishq tumheñ ho jā.egā
dīvāroñ se sar Takrāoge jab ishq tumheñ ho jā.egā
har baat gavārā kar loge minnat bhī utārā kar loge
ta.avīzeñ bhī bañdhvāo.ge jab ishq tumheñ ho jā.egā
tanhā.ī ke jhūle kholeñge har baat purānī bhūleñge
ā.īne se tum ghabrāoge jab ishq tumheñ ho jā.egā
jab sūraj bhī kho jā.egā aur chāñd kahīñ so jā.egā
tum bhī ghar der se aaoge jab ishq tumheñ ho jā.egā
bechainī baḌh jā.egī aur yaad kisī kī aa.egī
tum merī ġhazleñ gāoge jab ishq tumheñ ho jā.egā
mere jaise ban jaoge jab ishq tumhein ho jaega
diwaron se sar Takraoge jab ishq tumhein ho jaega
har baat gawara kar loge minnat bhi utara kar loge
tawizen bhi bandhwaoge jab ishq tumhein ho jaega
tanhai ke jhule kholenge har baat purani bhulenge
aaine se tum ghabraoge jab ishq tumhein ho jaega
jab suraj bhi kho jaega aur chand kahin so jaega
tum bhi ghar der se aaoge jab ishq tumhein ho jaega
bechaini baDh jaegi aur yaad kisi ki aaegi
tum meri ghazlen gaoge jab ishq tumhein ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.