maraz-e-ishq jise ho use kya yaad rahe
maraz-e-'ishq jise ho use kyā yaad rahe
na davā yaad rahe aur na du'ā yaad rahe
tum jise yaad karo phir use kyā yaad rahe
na ḳhudā.ī kī ho parvā na ḳhudā yaad rahe
loTte saikḌoñ naḳhchīr haiñ kyā yaad rahe
chiir do siine meñ dil ko ki patā yaad rahe
raat kā vā'da hai bande se agar banda-navāz
band meñ de lo girah tā ki zarā yaad rahe
qāsid-e-āshiq-e-saudā-zada kyā laa.e javāb
jab na mā'lūm ho ghar aur na patā yaad rahe
dekh bhī lenā hameñ raah meñ aur kyuuñ sāhab
ham se muñh pher ke jaanā ye bhalā yaad rahe
tere mad.hosh se kyā hosh o ḳhirad kī ho umiid
raat kā bhī na jise khāyā huā yaad rahe
kushta-e-nāz kī gardan pe chhurī phero jab
kaash us vaqt tumheñ nām-e-ḳhudā yaad rahe
ḳhaak barbād na karnā mirī us kūche meñ
tujh se kah detā huuñ maiñ bād-e-sabā yaad rahe
gor tak aa.e to chhātī pe qadam bhī rakh do
koī be-dil idhar aa.e to patā yaad rahe
terā 'āshiq na ho āsūda ba-zer-e-tūbā
ḳhuld meñ bhī tire kūche kī havā yaad rahe
baaz aa jaa.eñ jafā se jo kabhī aap to phir
yaad 'āshiq ko na kījegā bhalā yaad rahe
dāġh-e-dil par mire phāhā nahīñ hai angārā
chārāgar liijo na chuTkī se uThā yaad rahe
zaḳhm-e-dil bole mire dil ke namak-ḳhvāroñ se
lo bhalā kuchh to mohabbat kā mazā yaad rahe
hazrat-e-ishq ke maktab meñ hai tā'līm kuchh aur
yaañ likkhā yaad rahe aur na paḌhā yaad rahe
gar haqīqat meñ hai rahnā to na rakh ḳhud-bīnī
bhūle banda jo ḳhudī ko to ḳhudā yaad rahe
ālam-e-husn ḳhudā.ī hai butoñ kī ai 'zauq'
chal ke but-ḳhāne meñ baiTho ki ḳhudā yaad rahe
maraz-e-'ishq jise ho use kya yaad rahe
na dawa yaad rahe aur na du'a yaad rahe
tum jise yaad karo phir use kya yaad rahe
na KHudai ki ho parwa na KHuda yaad rahe
loTte saikDon naKHchir hain kya yaad rahe
chir do sine mein dil ko ki pata yaad rahe
raat ka wa'da hai bande se agar banda-nawaz
band mein de lo girah ta ki zara yaad rahe
qasid-e-ashiq-e-sauda-zada kya lae jawab
jab na ma'lum ho ghar aur na pata yaad rahe
dekh bhi lena hamein rah mein aur kyun sahab
hum se munh pher ke jaana ye bhala yaad rahe
tere madhosh se kya hosh o KHirad ki ho umid
raat ka bhi na jise khaya hua yaad rahe
kushta-e-naz ki gardan pe chhuri phero jab
kash us waqt tumhein nam-e-KHuda yaad rahe
KHak barbaad na karna meri us kuche mein
tujh se kah deta hun main baad-e-saba yaad rahe
gor tak aae to chhati pe qadam bhi rakh do
koi be-dil idhar aae to pata yaad rahe
tera 'ashiq na ho aasuda ba-zer-e-tuba
KHuld mein bhi tere kuche ki hawa yaad rahe
baz aa jaen jafa se jo kabhi aap to phir
yaad 'ashiq ko na kijega bhala yaad rahe
dagh-e-dil par mere phaha nahin hai angara
chaaragar lijo na chuTki se uTha yaad rahe
zaKHm-e-dil bole mere dil ke namak-KHwaron se
lo bhala kuchh to mohabbat ka maza yaad rahe
hazrat-e-ishq ke maktab mein hai ta'lim kuchh aur
yan likkha yaad rahe aur na paDha yaad rahe
gar haqiqat mein hai rahna to na rakh KHud-bini
bhule banda jo KHudi ko to KHuda yaad rahe
aalam-e-husn KHudai hai buton ki ai 'zauq'
chal ke but-KHane mein baiTho ki KHuda yaad rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.