Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main sadqe tujh pe ada tere muskurane ki

Jameel Mazhari

main sadqe tujh pe ada tere muskurane ki

Jameel Mazhari

MORE BYJameel Mazhari

    maiñ sadqe tujh pe adā tere muskurāne

    sameTe letī hai rañgīniyāñ zamāne

    jo zabt-e-shauq ne bāñdhā tilism-e-ḳhuddārī

    shikāyat aap rūThī huī adā ne

    kuchh aur jur.at-e-dast-e-havas baḌhātī hai

    vo barhamī jo ho tamhīd muskurāne

    kuchh aisā rang mirī zindagī ne pakḌā thā

    ki ibtidā se tarkīb thī fasāne

    jalāne vaale jalāte haiñ charāġh āḳhir

    ye kyā kahā ki havā tez hai zamāne

    havā.eñ tund haiñ aur kis qadar haiñ tund 'jamīl'

    ajab nahīñ ki badal jaa.e rut zamāne

    main sadqe tujh pe ada tere muskurane ki

    sameTe leti hai ranginiyan zamane ki

    jo zabt-e-shauq ne bandha tilism-e-KHuddari

    shikayat aap ki ruThi hui ada ne ki

    kuchh aur jurat-e-dast-e-hawas baDhati hai

    wo barhami jo ho tamhid muskurane ki

    kuchh aisa rang meri zindagi ne pakDa tha

    ki ibtida hi se tarkib thi fasane ki

    jalane wale jalate hi hain charagh aaKHir

    ye kya kaha ki hawa tez hai zamane ki

    hawaen tund hain aur kis qadar hain tund 'jamil'

    ajab nahin ki badal jae rut zamane ki

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    main sadqe tujh pe ada tere muskurane ki Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now