main KHud apni ghazlen aksar paDhta hun hairani se
maiñ ḳhud apnī ġhazleñ aksar paḌhtā huuñ hairānī se
kaise pechīda bāteñ kah letā huuñ āsānī se
jis ghar meñ bachche hote haiñ us ghar se rahtī hai duur
vīrānī ko Dar lagtā hai bachchoñ kī shaitānī se
peḌ bhī āñgan se kaTvāyā aur muñDer pe kāñch jaḌe
mushkil se āzād huā huuñ chiḌiyoñ kī nigarānī se
dard ghanerā hijr kā sahrā ghor añdherā aur yādeñ
raam nikāl ye saare rāvan merī raam kahānī se
tar āñkheñ sāhil par rakh kar kaan lagā kar suntā huuñ
gahrā paanī kyā kahtā hai mil kar uthle paanī se
yaad duāoñ meñ rakhoge rasman kah to dete ho
kis ne kis ko yaad kiyā hai rasmī yād-dahānī se
main KHud apni ghazlen aksar paDhta hun hairani se
kaise pechida baaten kah leta hun aasani se
jis ghar mein bachche hote hain us ghar se rahti hai dur
virani ko Dar lagta hai bachchon ki shaitani se
peD bhi aangan se kaTwaya aur munDer pe kanch jaDe
mushkil se aazad hua hun chiDiyon ki nigarani se
dard ghanera hijr ka sahra ghor andhera aur yaaden
ram nikal ye sare rawan meri ram kahani se
tar aankhen sahil par rakh kar kan laga kar sunta hun
gahra pani kya kahta hai mil kar uthle pani se
yaad duaon mein rakhoge rasman kah to dete ho
kis ne kis ko yaad kiya hai rasmi yaad-dahani se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.