main kewal ab KHud se rishta rakkhunga
maiñ keval ab ḳhud se rishta rakkhūñgā
ya.anī maiñ ab ḳhud ko tanhā rakkhūñgā
duniyā se har raaz chhupāne ke ḳhātir
maiñ apnā chehra an-jānā rakkhūñgā
manDī meñ ġham kā maiñ hī saudāgar huuñ
is ḳhātir maiñ daam ziyāda rakkhūñgā
terī sūrat terī chāhat yādeñ sab
chhoTe se is dil meñ kyā kyā rakkhūñgā
va.ada hai tujh se maiñ terī yādoñ ko
mahshar kī ghaḌiyoñ tak zinda rakkhūñgā
ek nazar tum dikh jaao is chāhat meñ
kab tak un āñkhoñ ko pyāsā rakkhūñgā
'mīt' yahāñ jo sapne saare bikhre haiñ
soch rahā huuñ in ko bikhrā rakkhūñgā
main kewal ab KHud se rishta rakkhunga
yani main ab KHud ko tanha rakkhunga
duniya se har raaz chhupane ke KHatir
main apna chehra an-jaana rakkhunga
manDi mein gham ka main hi saudagar hun
is KHatir main dam ziyaada rakkhunga
teri surat teri chahat yaaden sab
chhoTe se is dil mein kya kya rakkhunga
wada hai tujh se main teri yaadon ko
mahshar ki ghaDiyon tak zinda rakkhunga
ek nazar tum dikh jao is chahat mein
kab tak un aankhon ko pyasa rakkhunga
'mit' yahan jo sapne sare bikhre hain
soch raha hun in ko bikhra rakkhunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.