main jitni der teri yaad mein udas raha
maiñ jitnī der tirī yaad meñ udaas rahā
bas utnī der mirā dil bhī mere paas rahā
ajab sī aag thī jaltā rahā badan saarā
tamām umr vo hoñToñ pe ban ke pyaas rahā
mujhe ye ḳhauf thā vo kuchh savāl kar degā
maiñ dekh kar bhī use us se nā-shanās rahā
tamām raat ajab intishār meñ guzrī
tasavvurāt meñ dahshat rahī hirās rahā
gale lagā ke samundar hasīn kashtī ko
sukūt-e-tīra-fazā.ī meñ bad-havās rahā
'bashīr' maiñ use kis tarha be-vafā kah duuñ
nigāh ban ke jo is dil ke aas paas rahā
main jitni der teri yaad mein udas raha
bas utni der mera dil bhi mere pas raha
ajab si aag thi jalta raha badan sara
tamam umr wo honTon pe ban ke pyas raha
mujhe ye KHauf tha wo kuchh sawal kar dega
main dekh kar bhi use us se na-shanas raha
tamam raat ajab intishaar mein guzri
tasawwuraat mein dahshat rahi hiras raha
gale laga ke samundar hasin kashti ko
sukut-e-tira-fazai mein bad-hawas raha
'bashir' main use kis tarha be-wafa kah dun
nigah ban ke jo is dil ke aas pas raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.