main faqat is jurm mein duniya mein ruswa ho gaya
maiñ faqat is jurm meñ duniyā meñ rusvā ho gayā
maiñ ne jis chehre ko dekhā tere jaisā ho gayā
chāñd meñ kaise nazar aa.e tirī sūrat mujhe
āñdhiyoñ se āsmāñ kā rañg mailā ho gayā
ek maiñ hī raushnī ke ḳhvāb ko tarsā nahīñ
aaj to sūraj bhī jab niklā to andhā ho gayā
ye bhī shāyad zindagī kī ik adā hai dosto
jis ko sāthī mil gayā vo aur tanhā ho gayā
ek patthar zindagī ne taak kar maarā mujhe
choT vo khaa.ī ki saarā jism dohrā ho gayā
mil gayā miTTī meñ jab 'afzal' to ye aa.ī sadā
gir ga.ī dīvār aur saaya akelā ho gayā
main faqat is jurm mein duniya mein ruswa ho gaya
main ne jis chehre ko dekha tere jaisa ho gaya
chand mein kaise nazar aae teri surat mujhe
aandhiyon se aasman ka rang maila ho gaya
ek main hi raushni ke KHwab ko tarsa nahin
aaj to suraj bhi jab nikla to andha ho gaya
ye bhi shayad zindagi ki ek ada hai dosto
jis ko sathi mil gaya wo aur tanha ho gaya
ek patthar zindagi ne tak kar mara mujhe
choT wo khai ki sara jism dohra ho gaya
mil gaya miTTi mein jab 'afzal' to ye aai sada
gir gai diwar aur saya akela ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.