main bhi raushan dimagh rakhta hun
maiñ bhī raushan dimāġh rakhtā huuñ
chāñd jaisā charāġh rakhtā huuñ
mere hoñToñ pe muskurāhaT hai
garche siine meñ daaġh rakhtā huuñ
kyā mire paas kaam patjhaḌ kā
dil meñ sarsabz baaġh rakhtā huuñ
mujh se kuchh tum chhupā na pāoge
ehtimām-e-surāġh rakhtā huuñ
pyaas kaise mujhe lage 'nāqid'
ik labālab ayāġh rakhtā huuñ
main bhi raushan dimagh rakhta hun
chand jaisa charagh rakhta hun
mere honTon pe muskurahaT hai
garche sine mein dagh rakhta hun
kya mere pas kaam patjhaD ka
dil mein sarsabz bagh rakhta hun
mujh se kuchh tum chhupa na paoge
ehtimam-e-suragh rakhta hun
pyas kaise mujhe lage 'naqid'
ek labaalab ayagh rakhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.