Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main apne ru-ba-ru hun aur kuchh hairat-zada hun main

Khushbir Singh Shaad

main apne ru-ba-ru hun aur kuchh hairat-zada hun main

Khushbir Singh Shaad

MORE BYKhushbir Singh Shaad

    maiñ apne rū-ba-rū huuñ aur kuchh hairat-zada huuñ maiñ

    na jaane aks huuñ chehra huuñ phir aa.ina huuñ maiñ

    mirī majbūriyāñ dekho ki yakjā.ī ke paikar meñ

    kisī bikhre hue ehsās meñ simTā huā huuñ maiñ

    mire andar ke mausam mujhe tāmīr karte haiñ

    kabhī sairāb hotā huuñ kabhī sahrā-numā huuñ maiñ

    jo hai vo kyuuñ hai āḳhir jo nahīñ hai kyuuñ nahīñ hai vo

    isī gutthī ko suljhāne meñ uljhā huā huuñ maiñ

    ye baat ab kaise samjhā.ūñ maiñ in māsūm jharnoñ ko

    guzar kar kin marāhil se samundar se milā huuñ maiñ

    tabhī to 'shād' maiñ huuñ mo'tabar apnī nigāhoñ meñ

    manāzir ko baḌī sanjīdgī se sochtā huuñ maiñ

    main apne ru-ba-ru hun aur kuchh hairat-zada hun main

    na jaane aks hun chehra hun ya phir aaina hun main

    meri majburiyan dekho ki yakjai ke paikar mein

    kisi bikhre hue ehsas mein simTa hua hun main

    mere andar ke mausam hi mujhe tamir karte hain

    kabhi sairab hota hun kabhi sahra-numa hun main

    jo hai wo kyun hai aaKHir jo nahin hai kyun nahin hai wo

    isi gutthi ko suljhane hi mein uljha hua hun main

    ye baat ab kaise samjhaun main in masum jharnon ko

    guzar kar kin marahil se samundar se mila hun main

    tabhi to 'shad' main hun mo'tabar apni nigahon mein

    manazir ko baDi sanjidgi se sochta hun main

    RECITATIONS

    Khushbir Singh Shaad

    Khushbir Singh Shaad,

    Khushbir Singh Shaad

    main apne ru-ba-ru hun aur kuchh hairat-zada hun main Khushbir Singh Shaad

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now