main aksar sochti hun zindagi ko kaun likkhega
maiñ aksar sochtī huuñ zindagī ko kaun likkhegā
na maiñ likkhūñ to phir is bebasī ko kaun likkhegā
bahut masrūf haiñ ahl-e-jahāñ harza-sarā.ī meñ
ab āshob-e-suḳhan meñ be-hisī ko kaun likkhegā
ka.ī sadiyāñ guzārīñ manziloñ ke khoj meñ phirte
to phir mere sivā is gumrahī ko kaun likkhegā
ham is shahr-e-jafā-pesha se kuchh ummīd kyā rakkheñ
yahāñ is hāv-hū meñ ḳhāmushī ko kaun likkhegā
use fursat nahīñ sāhil, samundar, mauj likhne se
pareshāñ huuñ mirī tishna-labī ko kaun likkhegā
'hijāb' is shahr-e-nā-pursāñ meñ sab jhagḌā anā kā hai
surūr-e-ḳhud-parastī meñ ḳhudī ko kaun likkhegā
main aksar sochti hun zindagi ko kaun likkhega
na main likkhun to phir is bebasi ko kaun likkhega
bahut masruf hain ahl-e-jahan harza-sarai mein
ab aashob-e-suKHan mein be-hisi ko kaun likkhega
kai sadiyan guzarin manzilon ke khoj mein phirte
to phir mere siwa is gumrahi ko kaun likkhega
hum is shahr-e-jafa-pesha se kuchh ummid kya rakkhen
yahan is haw-hu mein KHamushi ko kaun likkhega
use fursat nahin sahil, samundar, mauj likhne se
pareshan hun meri tishna-labi ko kaun likkhega
'hijab' is shahr-e-na-pursan mein sab jhagDa ana ka hai
surur-e-KHud-parasti mein KHudi ko kaun likkhega
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 22.04.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.