mai-KHane par kale baadal jab ghir ghir kar aate hain
mai-ḳhāne par kaale bādal jab ghir ghir kar aate haiñ
ham bhī āñkhoñ ke paimāne bhar bhar kar chhalkāte haiñ
maiñ jin ko apnā kahtā huuñ kab vo mire kaam aate haiñ
ye saarā sansār hai sapnā sab jhūTe rishte-nāte haiñ
tanhā.ī ke bojhal lamhe ham is tarah bitāte haiñ
dil ham ko detā hai tasallī ham dil ko samjhāte haiñ
jīvan kī gutthī kā sulajhnā kaam hai ik nā-mumkin sā
girheñ paḌtī hī jaatī haiñ ham jitnā suljhāte haiñ
un kī qismat meñ jalnā hai kaun un se kahtā hai jaleñ
parvāne dīpak par aa kar apne-āp jal jaate haiñ
jīvan biitā lekin ab tak maiñ na samajh paayā ye bhed
biite dinoñ kī yaad aate hī aañsū kyuuñ bhar aate haiñ
vo jab apnā sar Dhakte haiñ khul jaate haiñ un ke pair
jo apnī chādar se ziyāda pair apne phailāte haiñ
hotā hai mahsūs ye 'ājiz' shāyad us ne dastak dī
tez havā ke jhoñke jab darvāze se Takrāte haiñ
mai-KHane par kale baadal jab ghir ghir kar aate hain
hum bhi aankhon ke paimane bhar bhar kar chhalkate hain
main jin ko apna kahta hun kab wo mere kaam aate hain
ye sara sansar hai sapna sab jhuTe rishte-nate hain
tanhai ke bojhal lamhe hum is tarah bitate hain
dil hum ko deta hai tasalli hum dil ko samjhate hain
jiwan ki gutthi ka sulajhna kaam hai ek na-mumkin sa
girhen paDti hi jati hain hum jitna suljhate hain
un ki qismat mein jalna hai kaun un se kahta hai jalen
parwane dipak par aa kar apne-ap jal jate hain
jiwan bita lekin ab tak main na samajh paya ye bhed
bite dinon ki yaad aate hi aansu kyun bhar aate hain
wo jab apna sar Dhakte hain khul jate hain un ke pair
jo apni chadar se ziyaada pair apne phailate hain
hota hai mahsus ye 'ajiz' shayad us ne dastak di
tez hawa ke jhonke jab darwaze se Takraate hain
- Book : mahbas-e-gham (Pg. 35)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.