Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mahsus lams jis ka sar-e-rah-guzar kiya

Sabir Zafar

mahsus lams jis ka sar-e-rah-guzar kiya

Sabir Zafar

MORE BYSabir Zafar

    mahsūs lams jis sar-e-rah-guzar kiyā

    saayā thā vo usī jise ham-safar kiyā

    kuchh be-Thikāna kartī rahīñ hijrateñ mudām

    kuchh merī vahshatoñ ne mujhe dar-ba-dar kiyā

    rahnā nahīñ thā saath kisī ke magar rahe

    karnā nahīñ thā yaad kisī ko magar kiyā

    aa.ina bhī aap thā aur aks bhī thā aap

    tere jamāl ne tujhe ḳhush-nazar kiyā

    vo jis Dagar milegā vahīñ mar miTūñgā maiñ

    tum dekhnā safar irāda agar kiyā

    jab zindagī guzār aayā hai tab ḳhayāl

    kyuuñ us intizār 'zafar' umr bhar kiyā

    mahsus lams jis ka sar-e-rah-guzar kiya

    saya tha wo usi ka jise ham-safar kiya

    kuchh be-Thikana karti rahin hijraten mudam

    kuchh meri wahshaton ne mujhe dar-ba-dar kiya

    rahna nahin tha sath kisi ke magar rahe

    karna nahin tha yaad kisi ko magar kiya

    tu aaina bhi aap tha aur aks bhi tha aap

    tere jamal hi ne tujhe KHush-nazar kiya

    wo jis Dagar milega wahin mar miTunga main

    tum dekhna safar ka irada agar kiya

    jab zindagi guzar di aaya hai tab KHayal

    kyun us ka intizar 'zafar' umr bhar kiya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now