mahaul sazgar karo main nashe mein hun
māhaul sāzgār karo maiñ nashe meñ huuñ
zikr-e-nigāh-e-yār karo maiñ nashe meñ huuñ
ai gardisho tumheñ zarā tāḳhīr ho ga.ī
ab merā intizār karo maiñ nashe meñ huuñ
maiñ tum ko chāhtā huuñ tumhīñ par nigāh hai
aise meñ e'tibār karo maiñ nashe meñ huuñ
aisā na ho ki saḳht kā ho saḳht-tar javāb
yaaro sambhal ke vaar karo maiñ nashe meñ huuñ
ab maiñ hudūd-e-hosh-o-ḳhirad se guzar gayā
Thukrāo chāhe pyaar karo maiñ nashe meñ huuñ
ḳhud 'tarz' jo hijāb meñ ho us se kyā hijāb
mujh se nigāheñ chaar karo maiñ nashe meñ huuñ
mahaul sazgar karo main nashe mein hun
zikr-e-nigah-e-yar karo main nashe mein hun
ai gardisho tumhein zara taKHir ho gai
ab mera intizar karo main nashe mein hun
main tum ko chahta hun tumhin par nigah hai
aise mein e'tibar karo main nashe mein hun
aisa na ho ki saKHt ka ho saKHt-tar jawab
yaro sambhal ke war karo main nashe mein hun
ab main hudud-e-hosh-o-KHirad se guzar gaya
Thukrao chahe pyar karo main nashe mein hun
KHud 'tarz' jo hijab mein ho us se kya hijab
mujh se nigahen chaar karo main nashe mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.