le ke dil us shoKH ne ek dagh sine par diya
le ke dil us shoKH ne ek dagh sine par diya
Bayan Ahsanullah Khan
MORE BYBayan Ahsanullah Khan
le ke dil us shoḳh ne ik daaġh siine par diyā
jo liyā us kā evaz us se mujhe behtar diyā
duur tujh se sāġhar-e-mai par nazar maiñ ne jo kī
kaasa apnā chashm ne ḳhūnāb-e-dil se bhar diyā
jo sulūk ab dil meñ aaveñ kar mujhe taqdīr ne
dast o baazū bāñdh kar tere havāle kar diyā
dilbaroñ ke shahr meñ begānagī andher hai
āshnā.ī DhūñDtā phirtā huuñ maiñ le kar diyā
baaze hī auqāt rāhat ham ko dī hai charḳh ne
ranj o ġham hī us sitamgar ne 'bayāñ' aksar diyā
le ke dil us shoKH ne ek dagh sine par diya
jo liya us ka ewaz us se mujhe behtar diya
dur tujh se saghar-e-mai par nazar main ne jo ki
kasa apna chashm ne KHunab-e-dil se bhar diya
jo suluk ab dil mein aawen kar mujhe taqdir ne
dast o bazu bandh kar tere hawale kar diya
dilbaron ke shahr mein beganagi andher hai
aashnai DhunDta phirta hun main le kar diya
baze hi auqat rahat hum ko di hai charKH ne
ranj o gham hi us sitamgar ne 'bayan' aksar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.