lauTe kuchh is tarah teri jalwa-sara se hum
lauTe kuchh is tarah tirī jalva-sarā se ham
bante ga.e qadam-ba-qadam aa.ina se ham
is darja pā.emāl na hote jafā se ham
luuTe ga.e siyāsat-e-mehr-o-vafā se ham
baaqī hī kyā rahā hai tujhe māñgne ke baad
bas ik duā meñ chhūT ga.e har duā se ham
dekhī ga.ī na ham se shikast-e-ġhurūr-e-husn
sharmā ga.e irāda-e-tark-e-vafā se ham
ye kyā kahā junūñ hai mohabbat kī intihā
ai be-ḳhabar chale haiñ isī intihā se ham
maanā ki dil ko tere na milne kā ġham rahā
sad shukr bach ga.e talab-e-mā-sivā se ham
lauTe kuchh is tarah teri jalwa-sara se hum
bante gae qadam-ba-qadam aaina se hum
is darja paemal na hote jafa se hum
luTe gae siyasat-e-mehr-o-wafa se hum
baqi hi kya raha hai tujhe mangne ke baad
bas ek dua mein chhuT gae har dua se hum
dekhi gai na hum se shikast-e-ghurur-e-husn
sharma gae irada-e-tark-e-wafa se hum
ye kya kaha junun hai mohabbat ki intiha
ai be-KHabar chale hain isi intiha se hum
mana ki dil ko tere na milne ka gham raha
sad shukr bach gae talab-e-ma-siwa se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.