lan-tarani ka batane ke liye raaz mujhe
lan-tarānī kā batāne ke liye raaz mujhe
kaun detā hai sar-e-tūr ye āvāz mujhe
ishq meñ aur bhī dīvāna banā detī hai
merī āvāz meñ mil kar tirī āvāz mujhe
ruuh āzād thī pāband-e-qafas rah na sakī
uḌ gayā le ke mirā jazba-e-parvāz mujhe
maiñ to jaatā hī thā tañg aa ke adam kī jānib
tum ne kyoñ rok liyā de kar ik āvāz mujhe
ta.ane sab dete haiñ mujh ko mirī mazlūmī kī
kis qadar rahm-o-karam par thā tire naaz mujhe
kaun ab kashmakash-e-zīst se de mujh ko najāt
kar chukā hai mirā qātil nazar-andāz mujhe
dekhte hī unheñ aaheñ bhī haiñ fariyādeñ bhī
'abr' sab aa hī ga.e ishq ke andāz mujhe
lan-tarani ka batane ke liye raaz mujhe
kaun deta hai sar-e-tur ye aawaz mujhe
ishq mein aur bhi diwana bana deti hai
meri aawaz mein mil kar teri aawaz mujhe
ruh aazad thi paband-e-qafas rah na saki
uD gaya le ke mera jazba-e-parwaz mujhe
main to jata hi tha tang aa ke adam ki jaanib
tum ne kyon rok liya de kar ek aawaz mujhe
tane sab dete hain mujh ko meri mazlumi ki
kis qadar rahm-o-karam par tha tere naz mujhe
kaun ab kashmakash-e-zist se de mujh ko najat
kar chuka hai mera qatil nazar-andaz mujhe
dekhte hi unhen aahen bhi hain fariyaaden bhi
'abr' sab aa hi gae ishq ke andaz mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.