lab-e-gudaz pe alfaz-e-saKHt rahte hain
lab-e-gudāz pe alfāz-e-saḳht rahte haiñ
zabān-e-ġhair ke lahje karaḳht rahte haiñ
kahīñ kahīñ to ġhulāmoñ se bhī rahe bad-tar
vo jin ke paañv kī Thokar meñ taḳht rahte haiñ
ruteñ badaltī haiñ vaqt ek sā nahīñ rahtā
tamām umr na bedār baḳht rahte haiñ
ḳhizāñ kā daur bhī aatā hai ek din 'kaifī'
sadā-bahār kahāñ tak daraḳht rahte haiñ
lab-e-gudaz pe alfaz-e-saKHt rahte hain
zaban-e-ghair ke lahje karaKHt rahte hain
kahin kahin to ghulamon se bhi rahe bad-tar
wo jin ke panw ki Thokar mein taKHt rahte hain
ruten badalti hain waqt ek sa nahin rahta
tamam umr na bedar baKHt rahte hain
KHizan ka daur bhi aata hai ek din 'kaifi'
sada-bahaar kahan tak daraKHt rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.