lazim kahan ki sara jahan KHush-libas ho
lāzim kahāñ ki saarā jahāñ ḳhush-libās ho
mailā badan pahan ke na itnā udaas ho
itnā na paas aa ki tujhe DhūñDte phireñ
itnā na duur jā ke hama-vaqt paas ho
ik jū-e-be-qarār ho kyuuñ dil-kashī tirī
kyuuñ itnī tishna-lab mirī āñkhoñ kī pyaas ho
pahnā de chāñdnī ko qabā apne jism kī
us kā badan bhī terī tarah be-libās ho
aa.e vo din ki kisht-e-falak ho harī-bharī
banjar zamīñ pe mīloñ talak sabz ghaas ho
lazim kahan ki sara jahan KHush-libas ho
maila badan pahan ke na itna udas ho
itna na pas aa ki tujhe DhunDte phiren
itna na dur ja ke hama-waqt pas ho
ek ju-e-be-qarar ho kyun dil-kashi teri
kyun itni tishna-lab meri aankhon ki pyas ho
pahna de chandni ko qaba apne jism ki
us ka badan bhi teri tarah be-libas ho
aae wo din ki kisht-e-falak ho hari-bhari
banjar zamin pe milon talak sabz ghas ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.