kyun dil tere KHayal ka hamil nahin raha
kyuuñ dil tire ḳhayāl kā hāmil nahīñ rahā
ye ā.īna bhī diid ke qābil nahīñ rahā
sahrā-navardiyoñ meñ guzārī hai zindagī
ab mujh ko ḳhauf-e-dūri-e-manzil nahīñ rahā
arbāb-e-rañg-o-bū kī nazar meñ ḳhudā gavāh
kab ehtirām-e-kūcha-e-qātil nahīñ rahā
zindāñ meñ ḳhāmushī hai koī boltā nahīñ
had ho ga.ī ki shor-e-salāsil nahīñ rahā
mānūs is qadar hue dariyā kī mauj se
sāhil bhī e'tibār ke qābil nahīñ rahā
us vaqt mujh ko dāvat-e-jām-o-subū milī
jis vaqt maiñ gunāh ke qābil nahīñ rahā
kyun dil tere KHayal ka hamil nahin raha
ye aaina bhi did ke qabil nahin raha
sahra-nawardiyon mein guzari hai zindagi
ab mujh ko KHauf-e-duri-e-manzil nahin raha
arbab-e-rang-o-bu ki nazar mein KHuda gawah
kab ehtiram-e-kucha-e-qatil nahin raha
zindan mein KHamushi hai koi bolta nahin
had ho gai ki shor-e-salasil nahin raha
manus is qadar hue dariya ki mauj se
sahil bhi e'tibar ke qabil nahin raha
us waqt mujh ko dawat-e-jam-o-subu mili
jis waqt main gunah ke qabil nahin raha
- Book : Kulliyat-e-Saghar Khayyami (Pg. 479)
- Author : Saghar Khayyami
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd. (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.