kya puchhte ho main kaisa hun
kyā pūchhte ho maiñ kaisā huuñ
ik sard havā kā jhoñkā huuñ
hai merī ruuh meñ bechainī
maiñ apne aap meñ uljhā huuñ
hai mirā saaya aur koī
maiñ aur kisī kā saaya huuñ
tū ḳhush hai apnī duniyā meñ
maiñ tirī yaad meñ jaltā huuñ
ab lauT ke aa aur dekh 'baqā'
ik 'umr se tanhā tanhā huuñ
kya puchhte ho main kaisa hun
ek sard hawa ka jhonka hun
hai meri ruh mein bechaini
main apne aap mein uljha hun
hai mera saya aur koi
main aur kisi ka saya hun
tu KHush hai apni duniya mein
main teri yaad mein jalta hun
ab lauT ke aa aur dekh 'baqa'
ek 'umr se tanha tanha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.