kya kahin milta hai kya KHwabon mein
kyā kahīñ miltā hai kyā ḳhvāboñ meñ
dil ghirā rahtā hai mahtāboñ meñ
har tamannā-e-sukūn-e-sāhil
uljhī uljhī rahī sailāboñ meñ
dil-e-insāñ kī syāhī tauba
zulmateñ bas ga.iiñ mahtāboñ meñ
aap ke faiz se tanvīreñ haiñ
ka.aba-e-ishq kī mehrāboñ meñ
apnā har ḳhvāb thā ik mauj-e-surūr
yuuñ huī umr basar ḳhvāboñ meñ
husn-e-qismat se hamesha 'fitrat'
baḳht bedār rahā ḳhvāboñ meñ
kya kahin milta hai kya KHwabon mein
dil ghira rahta hai mahtabon mein
har tamanna-e-sukun-e-sahil
uljhi uljhi rahi sailabon mein
dil-e-insan ki syahi tauba
zulmaten bas gain mahtabon mein
aap ke faiz se tanwiren hain
kaba-e-ishq ki mehrabon mein
apna har KHwab tha ek mauj-e-surur
yun hui umr basar KHwabon mein
husn-e-qismat se hamesha 'fitrat'
baKHt bedar raha KHwabon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.