kya irade hain wahshat-e-dil ke
kyā irāde haiñ vahshat-e-dil ke
kis se milnā hai ḳhaak meñ mil ke
ai dil-e-shikva-sanj kyā guzrī
kis liye hoñT rah ga.e sil ke
miTte jaate haiñ rāh-e-umr meñ dost
mil rahe haiñ nishān manzil ke
chhoḌ 'nātiq' fazā-e-bazm-e-shikast
uTh ke TukḌe sambhāl le dil ke
kya irade hain wahshat-e-dil ke
kis se milna hai KHak mein mil ke
ai dil-e-shikwa-sanj kya guzri
kis liye honT rah gae sil ke
miTte jate hain rah-e-umr mein dost
mil rahe hain nishan manzil ke
chhoD 'natiq' faza-e-bazm-e-shikast
uTh ke TukDe sambhaal le dil ke
- Book : Noquush (Pg. B-316 E-332)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.