kuchh log rabt-e-KHas se aage nikal gae
kuchh log rabt-e-ḳhās se aage nikal ga.e
mātaht apne boss se aage nikal ga.e
vo tiis saal se hai vahī biis saal kī
ham ḳhair se pachās se aage nikal ga.e
kuchh mah-jabīñ libās ke fashion kī dauḌ meñ
pābandī-e-libās se aage nikal ga.e
Daaka paḌā to luT ke huā hai ye fā.eda
ham ḳhauf aur hirās se aage nikal ga.e
apne hī teacheroñ kī jo rakh liiñ tuitioneñ
bachche mire class se aage nikal ga.e
lailā ke saath kaar bhī aa.e jahez meñ
majnūñ ye kah ke saas se aage nikal ga.e
kuchh log rabt-e-KHas se aage nikal gae
mataht apne boss se aage nikal gae
wo tis sal se hai wahi bis sal ki
hum KHair se pachas se aage nikal gae
kuchh mah-jabin libas ke fashion ki dauD mein
pabandi-e-libas se aage nikal gae
Daka paDa to luT ke hua hai ye faeda
hum KHauf aur hiras se aage nikal gae
apne hi teacheron ki jo rakh lin tuitionen
bachche mere class se aage nikal gae
laila ke sath kar bhi aae jahez mein
majnun ye kah ke sas se aage nikal gae
- Book : Dish antenna (Pg. 163)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.