kuchh itne yaad mazi ke fasane hum ko aae hain
kuchh itne yaad maazī ke fasāne ham ko aa.e haiñ
ki jin rāhoñ meñ ujḌe the unhī par lauT aa.e haiñ
baḌā pyārā hai vo ġham jis ko tere chāhne vaale
zamāne-bhar kī ḳhushiyoñ ke tasadduq maañg laa.e haiñ
dahaktā hai kaleje meñ kasak kā ko.elā ab tak
abhī tak dil ke bām-o-dar pe hijr o ġham ke saa.e haiñ
hameñ dekho hamāre paas baiTho ham se kuchh sīkho
hamīñ ne pyaar māñgā thā hamīñ ne daaġh paa.e haiñ
kuchh itne yaad mazi ke fasane hum ko aae hain
ki jin rahon mein ujDe the unhi par lauT aae hain
baDa pyara hai wo gham jis ko tere chahne wale
zamane-bhar ki KHushiyon ke tasadduq mang lae hain
dahakta hai kaleje mein kasak ka koela ab tak
abhi tak dil ke baam-o-dar pe hijr o gham ke sae hain
hamein dekho hamare pas baiTho hum se kuchh sikho
hamin ne pyar manga tha hamin ne dagh pae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.