kuchh bhi to apne pas nahin juz-mata-e-dil
kuchh bhī to apne paas nahīñ juz-matā-e-dil
kyā is se baḌh ke aur bhī koī hai imtihāñ
likhne ko likh rahe haiñ ġhazab kī kahāniyāñ
likkhī na jā sakī magar apnī hī dāstāñ
dil se dimāġh o halqa-e-irfāñ se daar tak
ham ḳhud ko DhūñDte hue pahuñche kahāñ kahāñ
us bevafā pe bas nahīñ chaltā to kyā huā
uḌtī raheñgī apne garebāñ kī dhajjiyāñ
ham ḳhud hī karte rahte haiñ fitnoñ kī parvarish
aatī nahīñ hai koī balā ham pe nā-gahāñ
kuchh bhi to apne pas nahin juz-mata-e-dil
kya is se baDh ke aur bhi koi hai imtihan
likhne ko likh rahe hain ghazab ki kahaniyan
likkhi na ja saki magar apni hi dastan
dil se dimagh o halqa-e-irfan se dar tak
hum KHud ko DhunDte hue pahunche kahan kahan
us bewafa pe bas nahin chalta to kya hua
uDti rahengi apne gareban ki dhajjiyan
hum KHud hi karte rahte hain fitnon ki parwarish
aati nahin hai koi bala hum pe na-gahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.