kuchh bhi ho ye to mere yar nahin ho sakta
kuchh bhī ho ye to mire yaar nahīñ ho saktā
maiñ tirā hāshiya-bardār nahīñ ho saktā
dil se tum jā to rahe ho magar itnā sun lo
ye darīcha kabhī dīvār nahīñ ho saktā
rasm-e-iz.hār-e-mohabbat meñ zarūrī hī sahī
ye tamāshā sar-e-bāzār nahīñ ho saktā
vasl kī chaah karūñ hijr meñ bhī aah bharūñ
ye mire ishq kā me.aar nahīñ ho saktā
apnī tārīf sunī hai to ye sach bhī sun le
tujh se achchhā tirā kirdār nahīñ ho saktā
kuchh bhi ho ye to mere yar nahin ho sakta
main tera hashiya-bardar nahin ho sakta
dil se tum ja to rahe ho magar itna sun lo
ye daricha kabhi diwar nahin ho sakta
rasm-e-izhaar-e-mohabbat mein zaruri hi sahi
ye tamasha sar-e-bazar nahin ho sakta
wasl ki chah karun hijr mein bhi aah bharun
ye mere ishq ka mear nahin ho sakta
apni tarif suni hai to ye sach bhi sun le
tujh se achchha tera kirdar nahin ho sakta
- Book : Kashmakash (Pg. 30)
- Author : Mansoor Usmani
- Publication : Najma House, Baradari, Moradabad (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.