kuchh be-nam talluq jinko nam achchha sa dene mein
kuchh be-nām ta.alluq jin ko naam achchhā sā dene meñ
maiñ to saarī bikhar ga.ī huuñ ghar ko ikaTThā rakhne meñ
dā.era manafī musbat kā to apnī jagah mukammal hai
koī barqī-rau dauḌā de is be-jān se naate meñ
kaun ehsās kī lau baḳhshegā rūkhe-phīke manzar ko
kaun piro.egā jazboñ ke motī harf ke dhāge meñ
aisā kyā andher machā hai mere zaḳhm nahīñ bharte
log to paara paara ho kar juḌ jaate haiñ lamhe meñ
rañj kī ik be-mausam Tahnī dil se yuuñ paivasta hai
puurī shāḳh harī ho jaa.e ek sirā chhū lene meñ
uupar se ḳhāmoshī oḌh ke phirte haiñ jo log vahī
dhajjī dhajjī phirte haiñ andar ke pāgal-ḳhāne meñ
sailāboñ kī ret se jis ko tū ne abas namnāk kiyā
dhīre bahtā ik dariyā ban us sahrā ke siine meñ
bārish ek paḌe to bāhar aape se ho jaatī hai
jis maḳhlūq ne āñkheñ kholīñ dhartī ke tah-ḳhāne meñ
kuchh be-nam talluq jin ko nam achchha sa dene mein
main to sari bikhar gai hun ghar ko ikaTTha rakhne mein
daera manafi musbat ka to apni jagah mukammal hai
koi barqi-rau dauDa de is be-jaan se nate mein
kaun ehsas ki lau baKHshega rukhe-phike manzar ko
kaun piroega jazbon ke moti harf ke dhage mein
aisa kya andher macha hai mere zaKHm nahin bharte
log to para para ho kar juD jate hain lamhe mein
ranj ki ek be-mausam Tahni dil se yun paiwasta hai
puri shaKH hari ho jae ek sira chhu lene mein
upar se KHamoshi oDh ke phirte hain jo log wahi
dhajji dhajji phirte hain andar ke pagal-KHane mein
sailabon ki ret se jis ko tu ne abas namnak kiya
dhire bahta ek dariya ban us sahra ke sine mein
barish ek paDe to bahar aape se ho jati hai
jis maKHluq ne aankhen kholin dharti ke tah-KHane mein
- Book : Gul-e-Dupahar (Pg. 114)
- Author : Saima Asma
- Publication : Idarah Batool, Sayyed Palaza, Firozpur Road, Lahore (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.