kuchh baat nahin jism agar mera jala hai
kuchh baat nahīñ jism agar merā jalā hai
sad-shukr ki us bazm se sho'la to uThā hai
maanā ki mire lawn kī phir sabz huī ghaas
is meñh meñ paḌosī kā makāñ bhī to girā hai
sardī hai ki is jism se phir bhī nahīñ jaatī
sūraj hai ki muddat se mire sar pe khaḌā hai
har samt ḳhamoshī hai magar kahte haiñ kuchh log
is shahr meñ ik shor qayāmat kā bapā hai
dīvār se go iiñT khisak kar paḌī sar par
sad-shukr ki rauzan koī zindāñ meñ khulā hai
ab dekhiye kis raah meñ dīvār banegā
Dhalvān pe ik sang-e-girāñ chal to paḌā hai
is saal mire khet meñ ole bhī paḌe haiñ
is saal mirī fasl ko kiiḌā bhī lagā hai
āñkheñ mirī raushan raheñ ḳhush-hāl rahūñ maiñ
ik andhī bhikāran kī mire haq meñ du'ā hai
maiñ bhuuk se behāl huuñ to ser-shikam hai
kyā merā ḳhudā vo nahīñ jo terā ḳhudā hai
kuchh baat nahin jism agar mera jala hai
sad-shukr ki us bazm se sho'la to uTha hai
mana ki mere lawn ki phir sabz hui ghas
is meinh mein paDosi ka makan bhi to gira hai
sardi hai ki is jism se phir bhi nahin jati
suraj hai ki muddat se mere sar pe khaDa hai
har samt KHamoshi hai magar kahte hain kuchh log
is shahr mein ek shor qayamat ka bapa hai
diwar se go inT khisak kar paDi sar par
sad-shukr ki rauzan koi zindan mein khula hai
ab dekhiye kis rah mein diwar banega
Dhalwan pe ek sang-e-giran chal to paDa hai
is sal mere khet mein ole bhi paDe hain
is sal meri fasl ko kiDa bhi laga hai
aankhen meri raushan rahen KHush-haal rahun main
ek andhi bhikaran ki mere haq mein du'a hai
main bhuk se behaal hun to ser-shikam hai
kya mera KHuda wo nahin jo tera KHuda hai
- Book : Pakistani Adab (Pg. 631)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.