koi hamdard na hamdam na yagana apna
koī hamdard na hamdam na yagāna apnā
rū-ba-rū kis ke kaheñ ham ye fasānā apnā
na kisū jaib ke haiñ phuul na dāman ke haiñ ḳhaar
kis liye thā chaman-e-dahr meñ aanā apnā
fā.eda kyā jo hue sheḳh-e-haram rāhib-e-dair
na huā dil meñ kisī ke jo Thikānā apnā
hai hazāroñ dil-e-pur-ḳhūñ ko yahāñ pech pe pech
dekhiyo turra-e-mushkīñ na milānā apnā
koi hamdard na hamdam na yagana apna
ru-ba-ru kis ke kahen hum ye fasana apna
na kisu jaib ke hain phul na daman ke hain KHar
kis liye tha chaman-e-dahr mein aana apna
faeda kya jo hue sheKH-e-haram rahib-e-dair
na hua dil mein kisi ke jo Thikana apna
hai hazaron dil-e-pur-KHun ko yahan pech pe pech
dekhiyo turra-e-mushkin na milana apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.