koi dil-lagi dil lagana nahin hai
koī dil-lagī dil lagānā nahīñ hai
qayāmat hai ye dil kā aanā nahīñ hai
manā.eñ unheñ vasl meñ kis tarah ham
ye rūThe kā koī manānā nahīñ hai
hai manzūr unheñ imtihāñ shauq-e-dil kā
nazākat kā ḳhālī bahāna nahīñ hai
vafā par daġhā sulh meñ dushmanī hai
bhalā.ī kā hargiz zamāna nahīñ hai
shab-e-ġham bhī ho jā.egī ik din āḳhir
kabhī ik ravish par zamānā nahīñ hai
hai kū-e-butāñ bas ghar us kā hī 'kaifī'
zamāne meñ jis ko Thikānā nahīñ hai
koi dil-lagi dil lagana nahin hai
qayamat hai ye dil ka aana nahin hai
manaen unhen wasl mein kis tarah hum
ye ruThe ka koi manana nahin hai
hai manzur unhen imtihan shauq-e-dil ka
nazakat ka KHali bahana nahin hai
wafa par dagha sulh mein dushmani hai
bhalai ka hargiz zamana nahin hai
shab-e-gham bhi ho jaegi ek din aaKHir
kabhi ek rawish par zamana nahin hai
hai ku-e-butan bas ghar us ka hi 'kaifi'
zamane mein jis ko Thikana nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.