koi diwar na dar baqi hai
koī dīvār na dar baaqī hai
dasht-e-ḳhūñ hadd-e-nazar baaqī hai
sab marāhil se guzar aayā huuñ
ik tirī rāhguzar baaqī hai
sub.h raushan hai chhatoñ ke uupar
raat palkoñ pe magar baaqī hai
ḳhvāhisheñ qatl huī jaatī haiñ
ik mirā dīda-e-tar baaqī hai
kaun detā hai sadā.eñ mujh ko
kis ke hoñToñ kā asar baaqī hai
kaT ga.ī shāḳh-e-tamannā 'amabar'
nā-umīdī kā shajar baaqī hai
koi diwar na dar baqi hai
dasht-e-KHun hadd-e-nazar baqi hai
sab marahil se guzar aaya hun
ek teri rahguzar baqi hai
subh raushan hai chhaton ke upar
raat palkon pe magar baqi hai
KHwahishen qatl hui jati hain
ek mera dida-e-tar baqi hai
kaun deta hai sadaen mujh ko
kis ke honTon ka asar baqi hai
kaT gai shaKH-e-tamanna 'amabar'
na-umidi ka shajar baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.