kisi ne phir se lagai sada udasi ki
kisī ne phir se lagā.ī sadā udāsī kī
palaT ke aane lagī hai fazā udāsī kī
bahut uḌegā yahāñ par fasurdagī kā ġhubār
ki phir se chalne lagī hai havā udāsī kī
zamīn-e-dil pe mohabbat kī āb-yārī ko
bahut hī TuuT ke barsī ghaTā udāsī kī
nazar nazar meñ udāsī dikhā.ī dene lagī
nagar nagar meñ hai phailī vabā udāsī kī
kisī tabīb kisī chārāgar ke paas nahīñ
koī ilaaj koī bhī davā udāsī kī
koī ilaaj nahīñ hai to phir duā hī kareñ
ki chhoḌ jaa.e hameñ ye balā udāsī kī
ai āftāb ye aalam tirā ġhurūb ke vaqt
sikhā.ī kis ne tujhe ye adā udāsī kī
zamīn-zādoñ ko virsa milā hai aadam se
huī thī ḳhuld se hī ibtidā udāsī kī
ye tere dil se tirī ruuh meñ utar jaa.e
bichhaḌne vaale ne dī thī duā udāsī kī
ye dil kā kaasa abhī ḳhaam hai ai kūza-gar
tū aur aañch pe us ko tapā udāsī kī
kisi ne phir se lagai sada udasi ki
palaT ke aane lagi hai faza udasi ki
bahut uDega yahan par fasurdagi ka ghubar
ki phir se chalne lagi hai hawa udasi ki
zamin-e-dil pe mohabbat ki aab-yari ko
bahut hi TuT ke barsi ghaTa udasi ki
nazar nazar mein udasi dikhai dene lagi
nagar nagar mein hai phaili waba udasi ki
kisi tabib kisi chaaragar ke pas nahin
koi ilaj koi bhi dawa udasi ki
koi ilaj nahin hai to phir dua hi karen
ki chhoD jae hamein ye bala udasi ki
ai aaftab ye aalam tera ghurub ke waqt
sikhai kis ne tujhe ye ada udasi ki
zamin-zadon ko wirsa mila hai aadam se
hui thi KHuld se hi ibtida udasi ki
ye tere dil se teri ruh mein utar jae
bichhaDne wale ne di thi dua udasi ki
ye dil ka kasa abhi KHam hai ai kuza-gar
tu aur aanch pe us ko tapa udasi ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.