kisi ko naz-e-KHirad hai kisi ko faKHr-e-junun
kisī ko nāz-e-ḳhirad hai kisī ko faḳhr-e-junūñ
maiñ apne dil kā fasāna kahūñ to kis se kahūñ
na iztirāb meñ lazzat na ārzū-e-sukūñ
koī kahe ki maiñ ab kyā fareb khā ke jiyūñ
rahegī phir na ye kaifiyyat-e-talab ai dil
chhupe hue haiñ to hai ishtiyāq-e-dīd fuzūñ
hai aaj dil pe gumāñ husn-e-nā-shanāsī kā
jalā chuke jab use jalvā-hā-e-gūnā-gūñ
ho ab bhī fikr meñ mushkil to yaad aate haiñ
vo har adā meñ taġhazzul ke saikḌoñ mazmūñ
tum aise kaun ḳhudā ho ki umr bhar tum se
umiid bhī na rakhūñ nā-umīd bhī na rahūñ
kisi ko naz-e-KHirad hai kisi ko faKHr-e-junun
main apne dil ka fasana kahun to kis se kahun
na iztirab mein lazzat na aarzu-e-sukun
koi kahe ki main ab kya fareb kha ke jiyun
rahegi phir na ye kaifiyyat-e-talab ai dil
chhupe hue hain to hai ishtiyaq-e-did fuzun
hai aaj dil pe guman husn-e-na-shanasi ka
jala chuke jab use jalwa-ha-e-guna-gun
ho ab bhi fikr mein mushkil to yaad aate hain
wo har ada mein taghazzul ke saikDon mazmun
tum aise kaun KHuda ho ki umr bhar tum se
umid bhi na rakhun na-umid bhi na rahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.