kisi ki yaad mein aankhon ko lal kya karna
kisī kī yaad meñ āñkhoñ ko laal kyā karnā
jise bichhaḌnā thā us kā malāl kyā karnā
hameñ to us kī judā.ī 'azīz rakhnī hai
ye jāh-o-hashmat o māl-o-manāl kyā karnā
mohabbateñ to faqat intihā.eñ māñgtī haiñ
mohabbatoñ meñ bhalā e'tidāl kyā karnā
ye kār-e-'ishq to bachchoñ kā khel Thahrā hai
so kār-e-'ishq meñ koī kamāl kyā karnā
vo rābte jo kiye ḳhud hī kal-adam ham ne
na.e sire se phir un ko bahāl kyā karnā
kisi ki yaad mein aankhon ko lal kya karna
jise bichhaDna tha us ka malal kya karna
hamein to us ki judai 'aziz rakhni hai
ye jah-o-hashmat o mal-o-manal kya karna
mohabbaten to faqat intihaen mangti hain
mohabbaton mein bhala e'tidal kya karna
ye kar-e-'ishq to bachchon ka khel Thahra hai
so kar-e-'ishq mein koi kamal kya karna
wo rabte jo kiye KHud hi kal-adam hum ne
nae sire se phir un ko bahaal kya karna
- Book : Need Musafir (Pg. 67)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.